Saturday, February 22, 2020

Madhya pradesh ki sanskriti..🔴

Himalaya se bhi purana Sambhav Bhartiya upmahadeep ka sarwadhik pracheen avam mool gondwana gondo ki bhoomi ke ek bade hisse ko samahit karne wala bhu pradesh aaj ka madhya pradesh hai



Desh ka hriday sthal kaha jane wala madhya Pradesh bhu vagyanik drusti se sarwadhik pracheentam gondwana land bhu sanhati ka bhu bhaaaaag hai

Iske poorvi bhu bhaag ki aur vindhyan shail samooh tatha paschim bhaaag me dhakkan tramp aavart hai madhya pradesh ke seedhi mandsour tatha khandwa ko poorva pasaan kaal yug ka mana jata hai

Pragetik kaal ke avses madhya pradesh ke raisen jile me stith bheem baitika ki gufaao me avam sagar ke nikat pahari me shailchitro ke roop me tatha chhanera hardia se prapt hote hai

Madhya Pradesh me narmada ghati me maheswar aur narmada ghati me tamrapasaan sanskriti ke pasaaan milte hai

Vaidik kaal me dakshin path aur revontar ke roop me madhya pradesh ka ullekhh milta hai

Narmada nadi ke tat par maharshi august ke netratv me yadu namak kaveela tatha sraapit pachas putra aakar base the

Dandkaranya van ka naam icchwaaku ke putra dandak ke naam pe padha

Yaha mahakaavya kaal me yadav vansheeya raja madhu ka ullekh milta hai

Madhya pradesh ke vatan kashi chedi karush aur dashane aadi chhetro ke mahabharat ke yuddha me ullekh hua

Madhya pradesh ke chhetra ujjain kavullekh mahajanpad yug ke solah mahajanpado me avantika naam se hua

Moryakaleen sabhyata ke avses madhya pradesh ke datia jile se ashok ke gurjara abhilekh ke roop me milte hai

Pushya mitra sunga ne vidisha ko apni rajdhani banaya tha ! Guptkal me udaigiri ki gufao tatha kidba ka vaishno mandir ka nirmaan hua tha

Madhya Pradesh ke ghane vano ka ramayan me dandkaranyavan ke naam se ullekh kiya gaya hai

Viswa me prashiddha mandiro ka nirmaan chandel vansh ke rajao ne karwaya tha

Jaypur ke ramsavai ne aatharvi satabdi me jantar mantar vedhsala ka nirmaan karwaya tha

Ramayan kaal me yaduvanshi naresh jo madhuvanshi jo dandkaray ke sasak the ayodhya naresh dashrath ke samkaaleen the jabki mahabharat kal me yaduvanseeya naresh geet vidisha ke sasak the

Madhya Pradesh ke datiya jile me stith gujjara me ashok ke laghu silalekh me ashok ka naam devana priyadassi ke naam se ullikhit tha

Tysm 🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏

🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴


No comments:

Post a Comment